| Lyrics: | abhi to raat baaqi hai, ye dhal jaaye to so jaana
ghadi bhar ko dil-e-naadaan sanbhal jaaye to so
jaana
abhi to raat baaqi hai, ye dhal jaaye to so jaana
ye jalate honth aur ye nind mein duubi
huyi aankhein - 2
mujhe sone nahin detin tumhaari adhakhuli aankhein
zara thaharo, mujhe bhi nind
aa jaaye to so jaana
abhi to raat baaqi hai
hasin ho tum tumhein kya gam tumhein to nind pyaari
hai - 2
hamaara haal mat puuchho ki ham par raat bhaari hai
hamaare sar qayaamat hai, ye tal jaaye
to so jaana
abhi to raat baaqi hai |