Viewing Lyrics for Hai Isi Mein Pyar Ki Abroo:
| |
| Track: |
Hai Isi Mein Pyar Ki Abroo Play this Song |
|
| Album: | ANPADH Tracks from this Album |
| Artist: | N/A |
| |
| Views: | 443 |
| |
| Lyrics: | Hai isi mein pyar ki aabroo
Woh jafa kare main wafa karoon
Jo wafa bhi kaam na aa sake
To wohi
kahen ke main kya karoon
Mujhe gham bhi unka azeez hai
Ke unhi ki di hui cheez
Yehi gham hai ab
meri zindagi
Ise kaise dil se juda karoon
Hai isi mein pyar ki aabroo
Jo na ban sake main woh
baat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon
Jo na khatm ho main woh raat hoon
Yeh likha hai mere
naseeb mein
Yoon hi shamma banke jala karoon
Hai isi mein pyar ki aabroo
Na kisiki dil ki hoon
aarzoo
Na kisi nazar ki hoon justujoo
Na kisi nazar ki hoon justujoo
Main woh phool hoon jo udaas
ho
Na bahaar aaye to kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabroo
Woh jafa kare main wafa karoon
Jo
wafa bhi kaam na aa sake
To wohi kahen ke main kya karoon
Hai isi mein pyar ki aabroo |
| |
|
Add to del.icio.us
Digg this
Reddit
|