Ho aisa lagta hai jo na hua hone ko hai
Aisa lagta hai ab dil mera khone ko hai
Varna dil kyon
dhadakta
Saansein kyon rukti
Mere neendein kyon ud jaati
Aisa lagta hai jo na hua hone ko
hai
Aisa lagta hai ab dil mera khone ko hai
Varna dil kyon dhadakta
Saansein kyon rukti
Mere
neendein kyon ud jaati
Ho aisa lagta hai jo na hua hone ko hai
Koi chehra nigaahon pe chhaane
laga
Koi ab roz aankhon mein aane laga
Aayi rut jo nayi jaage armaan kai
Mausam koi ghazal jaise
gaane laga
Oh aisa lagta hai jaise nasha hone ko hai
Aisa lagta hai hosh mera khone ko hai
Varna
dil kyon dhadakta
Saansein kyon rukti
Mere neendein kyon ud jaati
Ho aisa lagta hai jo na hua
hone ko hai
Mehki mehki fiza ne li angdaaiyaan
Neeli neeli hai baadal ki parchhaaiyaan
Thandi
thandi hava laayi raag naye
Goonji goonji si hai jaise shehnaaiyaan
Ho aisa lagta hai koi mera
hone ko hai
Aisa lagta hai har faasla khone ko hai
Varna dil kyon dhadakta
Saansein kyon
rukti
Mere neendein kyon ud jaati
Ho aisa lagta hai jo na hua hone ko hai
Aisa lagta hai ab dil
mera khone ko hai
Varna dil kyon dhadakta
Saansein kyon rukti
Mere neendein kyon ud jaati.