Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye ham dono -2
Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi
ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se
Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton
mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se
Chalo ek baar phir se..
Tumhen bhi koi
uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, ki yeh jalve paraaye hain
Mere hamraah bhi
rusvaaiyaan hain mere maajhi ki -2
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton ke saaye hain
Chalo ek baar
phir se..
Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa
achchha
Voh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin -2
Use ek khoobsoorat mod dekar chhodna
achchha
Chalo ek baar phir se..