Guru r brahm guru r vishnu
gurudev maheshwara
guru sakshat parabrahm
tatsmaye shri gyruve
namah
jahaan Daal-Daal par
sone kii chidiyaa karati hai baseraa
vo bhaarat desh hai
meraa
jahaan satya, ahinsaa aur dharm kaa
pag-pag lagataa Deraa
vo bhaarat desh hai meraa
ye
dharati vo jahaan rishi muni
japate prabhu naam ki maalaa
jahaan har baalak ek mohan hai
aur
raadhaa har ek baalaa
jahaan suraj sabase pahale aa kar
Daale apanaa pheraa
vo bhaarat desh hai
meraa
alabelon ki is dharati ke
tyohaar bhi hai alabele
kahin deevaali ki jagamag hai
kahin
hain holi ke mele
jahaan raag rang aur hansii khushi kaa
chaaro aur hai gheraa
vo bhaarat desh
hai meraa
jahaan aasamaan se baate karate
mandir aur shivaale
jahaan kisi nagar me kisi dwaar
par
koi na taalaa Daale
prem ki bansi jahaan bajaataa
hai ye shaam saveraa
vo bhaarat desh hai
meraa